Sunday, May 22, 2011

ek kavyatri ka jel jana......

Kanimonjhi matlab 'aakh ki putli'.Ek kavyatri bhi aakh ki putli hoti hai vah janchetna ki pravahmayi dhara hoti hai. Kintu jab ek janchetak janneta banne ki koshish karta hai to uski saaf chavi par dhabbe to lagte hi hai... kuki vah waha jakar bhawnawo se koso dur chala jata hai. Or ese me wah swarthi vhi ban jata hai...
aaj kanimonjhi ka jel jana or aakho ki kirkiri hona sayad ise galat chatra ka chunow karna tha jisne uske komal hiriday ko swarth ka chola phana diya......

Sunday, November 21, 2010

'Jindagi bhor kiran bankar aai hai............' jee haa!  bat mahila sasaktikaran kare to aaj stri har shatra me aage aai hai. Aaj mahilao ki bhagidari rasoi ke chule se lekar sikhsha, vayvosay, chikitsha or to or rajniti  ke galiyaro me v apni new kayam kar li hai. Jharkand vidhanshabha chunow me har chote se bade pado ke liye mahilao ki bhari shankhya me namankan unki pragtishil or sashakt scoh ki parichayak  hai .  Is bat me  ab koi bharam nahi hai ki pichre kahe jane wale rajya ki mahilao ki is pahal ne unke unnat soch  ka subh sandesh diya hai.
     Jab v koi nai pahal hoti hai  to hum kabhi kabhar atiutsha ke karan   ya fir  apni  bhawnao ke karan sahi nirnay nahi kar pate hai . Atah aaj hame  ek jimmedar nagrik ki bhati hi sochna chahiye taki ek yogya janneta ka chunow kar sake............  vote de par  apni dil or dimag dono ki soch kar...... jai hind